"Ek khat-💜"
Wo ek khat jo likha tha tumne Aaj bhi mere paas hai Ki usmai teri ungliyon ke nishaan Aur pyaar ka ehsaas hai
Ke roz saware uthkar padta hu tere alfaaz Aur uss khat ko muthi mai bandh kar leta hu Mano jaise ki tumhara hath pakad rakha hai Iss dar se ki tum kahi chali na jao Par fir ehsaas hota hai ki tum nahi ho Issi ehsaas wajah se do ansu baha leta hu
Ha mana sirf chaar he toh lafz hai uss khat mai Par tere wo chaar lafz mere sab kuch hai
Ki kahi na kahi pehla izhaar tha wo tumhara Mein wo Aakhri samaj kar hamesha dil ke pass rakhunga Na aaoge tum ye janta hai dil Fir bhi teri wapas aani ki aas rakhunga
Ki Ab jo hai bass wo khat hai....
Comments
Post a Comment